Raat Khamosh Hai – Jagjit Singh
Singer : Jagjit Singh
Poet : Hari Ram Acharya
Raat khamosh hai chand madhosh hai
Thaam lena mujhe jaa raha hosh hai
Milan ki dastan dhadkano ki zubaan
Gaa rahi hai jhami sun raha aasman
Gungunati hawa hui de rahi hai sada
Sard is raat ki garm aagosh hai
Mahakati ye fizaan jaisi teri adaa
Chha raha ruh par jane kaisa nasha
Zumtaa hai jahaan ajab hai ye samaa
Dil ke gulzaar me ishq purjosh hai
Shaam Se Aankh Me – Jagjit Singh
Singer – Jagjit Singh
Poet – Gulzar
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kami si hai
shaam se aankh mein nami si hai
dafan karr do humme ke sans mille
nabaj kuch derr se thami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
waqt rehta nahin kahi tikk karr
iski aadat bhi aadami si hai
iss ki aadat bhi aadami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
koi rishta nahin raha phir bhi ek tasvir lajmi si hai
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho – Jagjit Singh
Singer – Jagjit Singh
Poet – Kaifi Aazmi
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya Gham Hai Jisko Chhupa Rahe Ho
Aankhon Mein Nami, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai Kya Dikha Rahe Ho
Ban Jayenge Zehar Peete Peete
Yeh Ashq Jo Piye Ja Rahe Ho
Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai
Tum Kyon Unhe Chhedhe Ja Rahe Ho
Rekhaon Ka Khel Hai Muqaddar
Rekhaon Se Maat Kha Rahe Ho
Jhuki Jhuki si nazar – Jagjit Singh
Singer – Jagjit Singh
Poet – Kaifi Azmi
Jhuki Jhuki Si Nazar Beqaraar Hai Ke Nahi
Daba Daba Sa Sahi Dil Mein Pyar Hai Ke Nahi
Tu Apne Dil Ki Jawaan Dhadkano Ko Gin Ke Bata
Meri Tarah Tera Dil Beqarar Hai Ke Nahi
Wo Palken Jis Mein Mohabbat Jawaan Hoti Hai
Us Ek Pal Ka Tujhe Intezaar Hai Ke Nahi
Teri Umeed Pe Thukra Raha Hu Duniya Ko
Tujhe Bhi Apne Pe Ye Aitbaar Hai Ke Nahin
Hosh Walon Ko – Jagjit Singh
Singer – Jagjit Singh
Poet –
Hoshwalon ko khabar kya bekhudi kya chijh hai
ishq kije fir samajiye jindagi kya chijh hai
unse najare kya mil roshan fizaaye ho gai
aaj jana pyar ki jadugari kya chijh hai
ishq kije fir samajiye jindagi kya chijh hai
khulati zulfon ne sikhai mosamo ko shayari
jukati aankhon ne bataya mayakashi kya chijh hai
ishq kije fir samajiye jindagi kya chijh hai
ham labon se kah na paye unase haal-e-dil kabhi
aur wo samjhe nahi yah khamoshi kya chijh hai
ishq kije fir samajiye jindagi kya chijh hai
ful khilte hai baharo ka sama hota hai
aise mausam me hi to pyar javan hota hai
dil ki baaton ko hothon se nahi kahte
ye fasana to aankho se bayaan hota hai
Pyar Ka Pahela Khat Likhne Me – Jagjit Singh
Singer – Jagjit Singh
Poet – Upendra Nirala
Pyar ka pehla khat likhne mein waqt to lagta hai,
Naye parindon ko udne mein waqt to lagta hai…
Jism ki baat nahi thi un ki, dil tak jana tha,
Lambi duri tai karne me, waqt to lagta hai..
Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ye dori,
Lakh kare koshish khulne me, waqt to lagta hai..
Hamne ilaaz-e-jokhm e dil to, dhundh liya lekin,
Gahre zakhmo ko bharne me, waqt to lagta hai.
Aate Aate Mera Naam Sa Rah gaya – Jagjit Singh
Aapko dekh kar dekhta rah gaya
Kya kahu aur kahne ko kya rah gaya
Aate aate mera naam sa rah gaya
uskke hothon pe kuchh kaanpta rah gaya
Woh mere samne hi gaya aur main
Raste ki tarah dekhta rah gaya
Jhut wale kahin se kahin badh gaye
Aur main tha ki sach bolta rah gaya
uskke hothon pe kuchh kaanpta rah gaya
Aate aate mera naam sa rah gaya
Kiska chehra – Jagjit Singh
Singers – Jagjit Singh & Alka Yagnik
Poet –
Chaand Bhi Dekha Phool Bhi Dekha
Baadal Bijli Titli Jugnu Koi Nahin Hai Aisa
Tera Husn Hai Jaisa
Meri Nigaah Ne Ye Kaisa Khwaab Dekha Hai
Zameen Pe Chalta Hua Mahatab Dekha Hai
Meri Aankhon Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekhkar
Kiska Chehra… Kiska Chehra Ab Main Dekhoon
Tera Chehra Dekhkar
Meri Aankhon Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekhkar
Neend Bhi Dekhi Khwaab Bhi Dekha
Choodi Bindiya Darpan Khushboo
Koi Nahin Hai Aisa Tera Pyaar Hai Jaisa
Meri Aankhon Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekhkar
Kiska Chehra… Kiska Chehra Ab Main Dekhoon
Tera Chehra Dekhkar
Meri Aankhon Ne 0Chuna Hai Tujhko Duniya Dekhkar
Rang Bhi Dekha Roop Bhi Dekha
Rasta Manzil Saahil Mehfil
Koi Nahin Hai Aisa Tera Saath Hai Jaisa
Meri Aankhon Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekhkar
Kiska Chehra… Kiska Chehra Ab Main Dekhoon
Tera Chehra Dekhkar
Meri Aankhon Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekhkar
Bahut Khoobsuat Hai Aankhein Tumhaari
Bana Dijiye Inko Kismat Hamari
Usay Aur Kya Chaahiye Zindagi Mein
Jise Mil Gayi Mohabbat Tumhari
Ye Daulat Bhi Le Lo – Jagjit Singh
Yeh Daulat Bhi Le Lo,
ye shoharat bhi le lo
bhale chhin lo mujhase meri javani
magar mujhko lauta do bachapan kaa savan
vo kagaz ki kashti, vo barish kaa pani
muhalle ki sabse nishani puraani
vo budhiya jise bachche kahate the naani
vo nanii ki baaton mein pariyon ka dera
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon ka phera
bhulaae nahin bhul sakta hai koi
vo chhoti si raten vo lambi kahani
kadi dhuup mein apane ghar se nikalana
vo chidiyaa vo bulabul vo titli pakadana
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadana
vo jhuulon se girana vo gir ke sambhalana
vo piital ke chhallon ke pyare se tohfe
vo tuti hui chuudiyon ki nishaani
kabhi ret ke unche tilon pe jana
gharaunde bananaa banake mitaana
vo masum chahat ki tasir apani
vo khvabon khilaunon ki jaagir apani
na duniyaa kaa gam tha na rishton ke bandhan
badii khubasurat thi vo zindagaani
Tumko dekha to ye khayal Aya –
Tumko dekhaa to ye kayaal aayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa
tumako…
aaj phir dilane ek tamannaa kii – (2)
aaj phir dilako hamane samajhaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa…
tum chale jaaoge to soche nge – (2)
hamane kyaa khoyaa- hamane kyaa paayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa…
ham jise gunagunaa nahii n sakate – (2)
vaqt ne aisaa giit kyuu n gaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa…
Follow us on
Adverts
Adverts
Categories
Recent Posts
- Ho ke Majboor Muje Usne Bhulaya Hoga
- होके मजबूर मुझे उसने भुलाया होगा
- Meri Naznin Tum Muje Bhul Jana
- मेरी नाज़नीं तुम मुझे भूल जाना – अहमद हुसैन और मोहम्मद हुसैन
- आज बिछड़े है कल का डर भी नहीं – भूपिन्दर
- Aaj Bichhde Hai Kal Ka Koi Dar – Bhupinder
- Phir Teri Yaad – Bhupinder Singh
- फिर तेरी याद नये दीप जलाने आई – भूपिन्दर
- Aaina Mujse Meri Paheli Si Surat Mange – Talat Aziz
- आईना मुझ से मेरी पहेली सी सुरत माँगे
- आओगे जब तुम ओ साजना – उस्ताद राशीद खान
- Aaoge Jab Tum O Sajna – Ustad Rashid Khan
- तेरी तो चाँद सितारों में बात होती है – मोहम्मद रफी
- Teri To Chand Sitaron – Mohammad Rafi
- Choom Kar Mad Bhari Aankhon Se – Pankaj Udhas
- चुमकर मद भरी आंखो से गुलाबी कागज़ – पंकज उधास
- Aap Jinke Kareeb Hote Hain – Pankaj Udhas
- आप जिनके करीब होते हैं – पंकज उधास
- Mere Liye To Bas Yahi – Mohammad Rafi
- मेरे लिये तो बस वही पल हैं – मोहम्मद रफी
- Ek Hi Baat Zamane Ki- Mohd Rafi
- एक ही बात ज़माने की – मोहम्मद रफी
- Uski Hasrat Hai Jise Dil Se – Jagjit & Chitra Singh.
- उसकी हसरत है जिसे दिल से मिटा – जगजित & चित्रा सिंघ
- मयकदे बंद करें – हरिहरन